Tuesday, March 27, 2007

Tumhe zidd ha
k iqrar-e-wafa tum ne nahi karna
meri taqdeer mein rang-e-hina tum ne nahi bharna
tumhe manzoor ha shayad
mera ghut ghut k marna hi
tumhary faislay par ab sir tassleem-e-khumm ho ga
mein apne hount c loun ga
youn hi be-kaif jee loun ga
tumhary hijaar ki tasveer ko dil mein sama loun ga

magar ek baat mein poochoun
tumhe apni qassam
tum apne sir pe haath rakh k ye kehna
tumhary dil mein meray naam se hulchul nai hoti
mere khatt parh kar jazboun mein koi toffan nai machalta
tumhari dharkanoun mein kiya meri soochein nai palti
tu tum ne aziyat ki rada kyon taan rakhi ha
ye dil mein thhaan rakhi ha
bohat bechein khud rehna
mujhay burbad sa rakhna
bhulana hi tu uske saath saath kuch kuch yaad sa rakna
agar is tumhary kisi jazbey ko takeen milti ha
tu mere zakham-e-talab ka tazkara ab kum se kum hoga
mein apne hoont c loun ga
youn hi bekaif jee loun ga
tumharey hijar ki tasveer ko dil mein sama loun ga.....